Saturday, November 22, 2014

Kya wo Tum hi ho?

Kya wo tum hi ho, jiski barso se talaash thi,
Kya wo tum hi ho jiske lie ye nazre udaas thi,
Kya wo tum hi ho jo meri manzil hai,
Kya wo tum hi ho jiske lie ye karavan tha..

Kya wo tum hi ho jiski hasi se ab ye zindagi chale,
kya wo tum hi ho jiski nazar jhuke to sham dhale,
Kya wo tum hi ho jiski chuan me ek madhoshi ka ehsaas lage,
Kya wo tum hi ho jiski baaton se ab ye saanse chale..

Kya wo tum hi ho jo is be-rang  zindagi me rang la sake,
Kya wo tum hi ho jo is nazuk se dil ko sambhal sake,
Kya wo tum hi ho jo meri tamannao ko ubhaar sake,
Kya wo tum hi ho jo is hath ko zindagi bhar  thaamb sake...

Is dil me ajeeb si khalish si hai, Lagta hai manzil ab kareeb si hai..
Is dil ko humne khoob samjhaya, ki haa wo tum hi ho..
Par, fir bhi ek hi baat dil or dimaag pe he rehti,
Kya wo tum hi ho?

Saturday, June 8, 2013

Zindagi beet ti ja rahi kuch is tarah,
Kaafila saath hai fir bhi safar tanha,
Raah saaf hai, manzil na jaane kyu ruswa,
Pehchaanta har koi, par jaanta koi nahi,
ab to Haalat bhi kuch aise hai ,
aaine me khada shaksh bhi anjaan hi lagta hai..

Ye Zindagi bhi ajeeb sa khel khilati hai
har mod pe naye imtehaan dilati hai
Ek ajeeb sa dushchakra hai,
Jisme dhasta ja raha hu mein,
Ek taraf Apni khudgarz khushi ki lalsa,
Jo dusro ko dukh pahuchati hai..
Fir dusro ko dukhi paakar,
khud apne aap ko dukh ke sagar me dhakel jati hai..

Kabhi kabhi khud ko is soch me pata hu,
Khamoshi kya in sab ka ilaaj hai?
kyuki is khamoshi me b ek ehsaas hai..
Us ehsaas ki bhi ek awaaz hai..
Fir na jaane koi kyu use sunta nahi,
Na jaane in aansuo ka mol koi samajhta nahi,
Samajh sako to in ashko ki bhi ek awaaz hai,
Sun sako to har ashk me ek gehra saaz hai....

Sunday, April 14, 2013

Meri Parchaai...


Kabhi raah me pade patharo se ubharti hui,
Kabhi pedhon ki shakhaon me samati hui,
Mera peecha karte karte, mere se aage nikalti,
Kabhi choti kabhi badi, humesha mere sath chalti..

Mere sath hi duniya me aayi, or mere sath hi pali,
Na aakaar na pehchaan, fir bhi kuch adbhut si lagi.
Aankho se ojhal hoke bhi mere ehsaas me rehti,
Waqt ke sath sath mujhe ye prateet karti hi rehti,
Ki, Meri parchai hi mere jivan me sabse khas thi...

Ek parchai hi thi, jo harpal mere paas rehti,
Mere gum me hum-raqeeb or khushi me abhisaar
Mere din ka andhkaar or raat ka ujala thi,
Duniya me logon ki kami to nahi yaaron,
fir bhi na jaane kyu ek wo hi mere sath rehti thi..

Par ab dheere dheere usko kho sa raha hu mein,
Na chahte hue bhi apne humsafar se door ho raha hu mein,
Bina uske akela kamzor sa pad raha hu mein,
Ek ajeeb si hulchal hai, aisa lagta hai jaise,
Apni parchai me kisi or ki parchai ko dhund raha hu mein...



Thursday, November 29, 2012

Apke andaz-e-mizaaz


Aapke andaz-e-mizaaz lafzon me kaise bayaan karein,
aaine ko aaina dikhake kya karein,
Tere chehre ko dekhte hai or nazar nahi hat ti
Phoolon ko apni hi Mehek se kya waasta,
ab aapse hi apki khubsurati ko bayaan kya karein....

Aapse kehne wali kai baatein yaad thi,
aapke aate hi sab bhool gaye,
Apni nazaro me kaid kar ke rakhi thi kai yaadein,
aapki nazro ko dekhte hi saare nazare bhul gaye..
Ab tak to auro ki mohabbat ke afsaane padte the,
aapko dekhte hi apne fasane bhi bhul gaye..

Apke tassavur se Khwabon me ek ajeeb si bechaini hai,
apke nazuk mizaaz hai ya humare rumani andaaz
Din to kat jata hai, raat na katne ka ilzaam kise de,
sote to bahut hai par neend nahi aati,
ab apke is khoobsurat khwab-e-andaaz ko hum kya dosh dein....

Zindagi bhar sambhal ke rakhte the apne dil ko,
Apki ek nazar kashmakash ne humko dagmaga diya,
ye apki jhapakti hui palkhon ka kasoor tha,
ya sehmi si muskaan ka nasha,
Dekhte hi reh gaye or pata bhi na chala,
Dil to fisla, humari parchaai ko bhi apke andaz ne hila diya...

Lafzon ki in guftgoon me apke andaaz ko ab kitna simren,
Bas ye samajh lijie,
Abhi tak uljhe hue hai apki baaton ke rachao me,
abhi tak thake nahi apke intezaar me,
Ab aapki anmoliyat ko tarazu me tol ke kya karein,
ab aapse hi apki khoobsurati ka bayaan kya karein....

Saturday, October 20, 2012

Jaagte armaan


Kab se tha intezaar, soye pade the ye armaan,
Sooni thi galiyaan soone thei aashiyaan..
Ab halki halki khanakti hai kisi ki aahatein,
ye beqarari ka aalam, or ye khumari ka bayaan,
ab jaakar dikhte hai jaagte hue wo armaan..

Pehle paas hokar bhi dil se konso door thei,
Is berang si duniya me, chupe hue kyu thei..
Ab mile to rang aisa laga,
jaise andheri raat me jugnuo ka samaa..
Lekin ye dunia ka ajeeb hi dastoor hai,
dil ke paas hokar bhi aap humse konso door hai..

Na jaane kyu Aapse har pal baat karna,
ek dastoor sa banta ja raha hai..
intezaari ka ye aalam ab to humko,
dheere dheere nasoor karta ja raha hai..
Chahat hai agar to kuch kar ja tu,
ek baar aake mujhse mil ja tu..

Na jaane wo apka ek behta hua ashq tha,
ya uske peeche chupti hui khilti si hasi..
Ek nazar ka dhoka tha, ya apki hasi ka jhonka,
Lakho chehro me ek chehra apna sa laga,
aapko paakar aakhirkaar dil ko acha sa laga..

Aapko pyar karna sacha sa lagta hai,
din bhar apke sath rehna sapna sa lagta hai..
ye jaante hue ki ye ye sapna kacha hai,
fir bhi na jaane kyu ye sapna apna sa lagta hai...



Monday, August 20, 2012

Ye dard to bujh hi jayega ek din...


Sochta hu ki din pe din wo yaadein bhula paunga,
lekin kabhi aisa kar nahi pata..
ye khamoshi, ye sannate se ubhar ke aana hu chahta
na jaane kyu din pe din usme or samata jata..
Kuch awazein hai kaano me gunjti rehti, dheeme se kehti
ki dekh ye sannate ko isme tereko me nazar aaungi,
par na jaane q me wo saanate ko hi kabhi dekh nahi paata...

ye gum ki barsaat ke bawjood, ashko ki baad sukh gai hai,
sukhe hue ashq hai jaise deewaro me padi wo seelan
jo ke kabhi na behte hai na tapakte bas ek daag sa chod jaate hai,
Lekin ye kisi ko samajh nahi aata ki
andar se deewar ki neev ko wo khokla kiye ja rahe hai..

Kuch kuch bhulne sa laga hu me aapko,
wo chehra dhundlaate ja raha hai din pe din,
bahut arsa beet gaya kaano ko apki awaaz sune,
neend lagte hi apne aap ko apki chaon me paata hu,
jab jab neend khulti hai ek chehra sa ojhal hote dikhta hai aankho se
kahi wo chehra aapka to nahi??

Agar sirf neend me hi wo ehsaas dilana hai,
din me door or raato ko paas me aana hai,
agar aisa hai to hameshe ke lie sula de
isi bahane apni chaon me mujhe bhi bula le...

Suna hai dard amar nahi, kuch der hi rehta hai ba-umar nahi,
sukhe hue aannsu bhi ek din vapisht ho hi jate hai hawa me,
ye gehre sannate bhi chupke se kisi or sannate me vilupt ho hi jayenge,
yaadon ka pata nahi kabhi jaye na jaye,
par ek lambi gehri si saas leke ye dard to bujh hi jayega ek din...

Sunday, July 8, 2012

kya bataye hum aapse apni dil ki baat


kya bataye hum aapse apni dil ki baat,
wo kal ki baat, wo poorani yaad,
wo lamha, wo sapna wo meri fariyaad,
wo khwab, wo meri zindagani jo sukhe me likhi reh gai,
or ik lamhe me achanak, ye zindagi ki kahani ik baadhh me beh gai...

kai sawalo se bhari ye zindagi, or zindagi meri ik sawal hai,
mere khwab jo kabhi ik sawal the aaj wo ab sirf adhoore khwab hai,
zindagi ke har lamhe me wo badalte chale gaye,
naye samay naye daur ke dhaanche me dhalte chale gaye,
or hume pata b na chala wo kab ret ki tarah humare hath se nikalte chale gaye...

wapis lautne ka mann to bahut hai lekin himmat kaha se lau,
jaha jaane ki tamanna hai waha bin aapke pata nahi kaise jau,
jinke lie dil me sabse jyada pyar hai unke dil me apni jagah kaise banau,
apni aarzoo apni manzil ko apni parchai ke bina poora kaise kar pau..

Is bhag dodh ki duniya me, kisi ke paas thehrna ka waqt nahi,
paiso ke lie sab halal, dosti ke lie kisi ke paas waqt nahi,
jab apno ke hi paas mere lie waqt nahi,
parayo se apne ehsaaso ki kya kadar karwau..

dil me tapakte aansuon ko aankhon me kaise jhalkau,
ankahi si baat, lafzo ne me kaise lau,
agar ro kar apni yaadon ko bhula pata,
to sabke samne haske apna dard kyu chupau...